Jhukaana hume bhi aata hai par jhukaane se Hume koi Khushi nhi milti | poetry | kuch apna likho
Jhukaana hume bhi aata hai
par jhukaane se Hume koi Khushi nhi milti
log sochte hain ki dominate karo sabko or jeet jayo duniya
par yeh sach nhi blki jhooth hai bhram hai
koi kbhi sheersh pr tika nhi rehta
aaj tumhara sikka chalta hai
toh kal kisi or ka chalega
aaj tum raaj kar rahe ho
kal ko koi or raaj karega
aaj tumhari sarkaar hai
kal Ko kisi or ki sarkaar hogi
aaj tum jawan ho kal Ko budaapa bhi aayega tumhe
toh Kyun krte ho ghamand Etna ?
kis baat ka hai ahankaar tumhe ?
raavan ka bhi hua sarvnaash yahan
tum kis khet ki mooli ho ?
By Sandeep Sharma
Comments