Jhukaana hume bhi aata hai par jhukaane se Hume koi Khushi nhi milti | poetry | kuch apna likho
Jhukaana hume bhi aata hai par jhukaane se Hume koi Khushi nhi milti log sochte hain ki dominate karo sabko or jeet jayo duniya par yeh sach nhi blki jhooth hai bhram hai koi kbhi sheersh pr tika nhi rehta aaj tumhara sikka chalta hai toh kal kisi or ka chalega aaj tum raaj kar rahe ho kal ko koi or raaj karega aaj tumhari sarkaar hai kal Ko kisi or ki sarkaar hogi aaj tum jawan ho kal Ko budaapa bhi aayega tumhe toh Kyun krte ho ghamand Etna ? kis baat ka hai ahankaar tumhe ? raavan ka bhi hua sarvnaash yahan tum kis khet ki mooli ho ? By Sandeep Sharma