Maa kya hoti hai? | Poetry | kuch apna likho

Maa Mamta ka ehsaas hoti hai.jab bhi bachhe ko dekhti hai maa uske chehre pr muskurahat apne aap aa hi jati hai 


Maa kanhi bhi ho uska Dhyan hmesha bachhe ki or hi hota hai.jb bhi bachhe bimaar padte hain Maa din raat jaagti hai or pararthana krti hai bhagwan se jb tk bchhe theek na ho jaye 


Maa swayam bhagwan ka hi ek avatar hoti hai. wo log bhagyashali hote hain jinke paas unki Maa hoti hai 

                           

                     By Sandeep Sharma


Comments

Popular posts from this blog

Tumhare marne par sab siyasat krenge | shayri

Aao Milkar ke ped lagayein | hindi poetry

Chingaari se aag lagi humne dekhi hai | shayri